Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi Nahi Karta

 

Poetess Parveen Shakir

 

Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi Nahi Karta,

Jo Pooch Le Koi Us Se To Iqrar Bhi Nahi Karta,

Wo Aisa Sada Dil Hai K Mujhe Dekene Ki Duain Mange,

Jab Samne Aa Jaon To Deedar Bhi Nahi Karta,

Gar Us Se Door Jaon Main To Sans Us Ki Rukh Jaye,

Koi Mang Le Mujhe Us Se To Inkar Bhi Nahi Karta,

Apne Qareeb Aane Se Rok Deta Hai Mujh Ko,

Aur Rah Mein Hail Koi Deewar Bhi Nahi Karta,

Mere Dil K Darwaze Pe

Dastak Bhi Deta Hai Wo,

Aur Darwaza Khul Jane Ka

Intizar Bhi Nahi Karta...............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai