Hum Nagri Nagri Jate Hain, Aur Ghar Ghar Geet Gate Hain,

 

Poet Iqbal Azeem

 

Hum Galion Galion Angan Aangan Pyar K Deep Jalate Hain,

Hum Khushbo K Sodagar Hain,

Aur Soda Sacha Karte Hain,

Jo Gaakh Phoolon Jaisa Ho,

Hum Bin Daamon Bik Jate Hain,

Hum Shehr-e-Wafa K Logon Ka,

Tum Haal Bhala Kia Jano Gay,

Hum Dil Ko Chot Chupate Hain Aur Aanso Pee Jate Hain,

Jo Log Sharafat Wale Hain,

Wo Qadre Buzdil Hote Hain,

Dushman Se Nahi Darte Wo Magar,

Kam Zarfon Se Ghabrate Hain,

Hum Sache Hain Ye Kaise Kahein,

Sach Sab K Bas Ki Bat Nahi,

Jo Sachi Batain Karte Hain,

Wo Peghambar Kehlate Hain,

Iqbal To Adna Khadim Hai Arbab Ilm-o-Danish Ka,

Ye Aap Ka Husn-e-Sama'at Hai,

Jo Is Pe Karam Farmate Hain...................!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo