Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

 

Poetess Parveen Shakir

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

Ye To Hai K Mera Weham Hai,

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hon,

Jaise K Kabhi Na Tha Taaruf,

Youn Milte Howe Jhijak Rahi Hon,

Pehchan Main Teri Roshni Hon,

Aur Teri Palak Palak Rahi Hon,

Kia Chain Mila Hai Sar Jo Us K,

Shano Pe Rakhe Sisak Rahi Hon,

Pathar Pe Khili K Chasham Gul Mein,

Kante Ki Tarah Khatak Rahi Hon,

Jugno Kahein Thak K Gir Chuka Hai,

Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hon,

Guria Meri Soch Ki Channi Kia,

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hon,

Ek Umar Hoi Khud Se Larte,

Andar Se Tamam Thak Rahi Hon,

Rass Phir Se Joron Mein Ja Raha Hai,

Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hon,

Takhleeq-e-Jamal-e-Fun Ka Lamha,!

Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hon........................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo