Aao Sajan So Jain 
Kahein Door

 

Poetess 

Ambreen Sahil 

 

Typed Bay

*._Ayaz Khan_.*

Aao Sajan So Jain

Kahein Door Khayalon Mein Kho Jain.

Ek Jangal Ek Jharna Ho Aur Hum Ko Kuch Na karna Ho.

Jahan Dil Se Dil Milte Hon Pyar Ka Sawan Barasta Ho.

Sab Meethi Boli Bolain Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho.

Jahan Phool Khushi K Khelain,

Aur Sab Hi Rang Milte Hon.

Khushbo Khud Hi Mil Jaye Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho.

Jahan Koi Kisi Ko Dard Na De Na Koi Ghayal Ho.

Jahan Sab Mil K Rehte Hon,

Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho.

Jahan Gaati Koyal Ho Aur Sab Hi Raqs Mein Jhoomte Hon.

Waqt Youn Hi Guzarta Ho, Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho.

Ye Mere Mann Ki Batain Hain Ye Mere Dil Ki Basti Hai.

Aao Is Sapne Mein Kho Jain.

Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho......!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai