Aap Se Tum Tum Se Too Hone Lagi

 

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Ranj Ki Jab Guftago Hone Lagi,

Aap Se Tum Tum Se Too Hone Lagi,

Chahiye Paighambar Dono Taraf,

Lutf Kia Jab Doo Ba Doo Hone Lagi,

Meri Ruswai Ki Nobat Aa Gai,

Un Ki Shohrat Koo Ba Koo Hone Lagi,

Beniazi Barh Gai Hai Is Qadar,

Aarzo Ki Aarzo Hone Lagi,

Ab To Mil Kar Dekhiye Kia Rang Ho,

Phir Humari Justajo Hone Lagi,

Dagh Itraye Howe Phirte Hain Aaj,

Shayad Un Ki Aabroo Hone Lagi...................! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai