Aaye Hussn-e-Laila Faam Zara Aankh To Mila

 

Poet Saghar Siddiuqi 

 

Aaye Hussn-e-Laila Faam Zara Aankh To Mila,

Khali Pare Hain Jaam Zara Aankh To Mila,

Kehte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi,

Dunia K Chor Kaam Zara Aankh To Mila,

Kia Wo Na Aaj Aain Gay Taron K Sath Sath,

Tanhaion Ki Sham Zara Aankh To Mila,

Ye Jaam Ye Sabo Ye Taswor Ki Chandni,

Saqi Kahan Madham Zara Aankh To Mila,

Saqi Mujhe Bhi Chahiye Ek Jam-e-Aarzo,

Kitne Lagain Gay Daam Zara Aankh To Mila,

Pamal Ho Na Jaye Sataron Ki Aabro,

Aaye Mere Khush Khuram Zara Aankh To Mila,

Hain Rahi Kehkashaan Main Azal Se Khare Howe.

(S A G H A R)

Tere Ghulam Zara Aankh To Mila...................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo