Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai

 

 

Poet Mohsin Kamal 

 

Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai,

Gar Banai To Mohabbat Mein Judai Kion Hai,

Kion Dia Pyar Mujhe Is Ki Zaroorat Kia Thi,

Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kia Thi,

Meri Rahon Mein To Khushbo Ka Safar Rehta Tha,

Dil Mein Abaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha,

Zindagi Khaar Bhari Rah Mein Laai Kion Hai,

Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai?

Main Agar Roo'n To Sehra Ko Samandar Kar Don,

Sakhat Ho Jaon Agar Moom Ko Pathar Kar Don,

Raakh Ho Jaye Jahan Mein Jo Agar Aah Bharon,

Aasman Toot Pare Tujh Se Jo Faryad Karon,

Itni Gherai Mere Ishq Mein Aai Kion Hai,

Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai,

Gar Banai To Mohabbat Mein Judai Kion Hai.....................!

Book Zindagi Se Sabaq

Page 27 To 28

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha