Bata Mere Khowabon K Anjaan Sathi

 

Poet: Ahmad Faraz 

 

Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi.

Meri Zindagi Tujh Se Kab Aashana Thi.

Ghatain Uthi Or Hava Gon-Gonai.

Tarrpti Hoi Muj Sahil Tak Aai.

Wo Kaisa Samaa Tha Wo Kaisi Faza Thi.

Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi.

Badan Mein Sulagti Hain Chingariyan Si.

Yehi Rut Thi Pehle Bhi Lekin Juda Thi.

Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi.

Javaan Hain Abi Khowaishon K Jazeere.

Chalo Hum Bhi Jaein Udahar Dhire Dhire.

Kahain Pher Na Kehna K Wo Be-Wafa Thi.

Bata Mere Khowabon K Anjaan Sathi......!

Bk: Mere Khowab Reza Reza

Pg: 50 to 51

Note: Ye Geet Is Book Ki Poetry Sahil Ki Rait Mein Hai.

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo