Chahat Mein Kia Dunia Dari Ishq Mein Kaisi Majbori

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Chahat Mein Kia Dunia Dari Ishq Mein Kaisi Majbori,

Logon Ka Kia Samjhane Do In Ki Apni Majboori,

Mein Ne Dil Ki Bat Rakhi Aur Too Ne Dunia Walon Ki,

Meri Gharz Bhi Majboori Thi Un Ka Hukam Bhi Majboori,

Rok Sakho To Pehli Barish Ki Bondon Ko Tum Roko,

Kachi Mitti To Mehke Gi Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hunsta Ghata Mosam Apna Hai Sab Apne Hain,

Waqt Pare To Yad Ajati Hai Masnovi Majboori,

Aik Awara Badal Se Kion Main Ne Saya Manga Tha,

Meri Bhi Ye Nadani Thi Us Ki Bhi Thi Majboori,

Muddat Guzri Aek Wade Par Aaj Bhi Qayam Hai,

M O H S I N

Hum Ne Sari Umar Nibhaye,

Apni Pehli Majboori..............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai