Dil Ko Koi Be Yaqeeni Hai Mohabbat Mein (the largest poem by Farhat Abas Shah)

 

Poet Farhat Abbas Shah

Type By

  Khan61


Wo Boli,

Dil Ko Koi Be Yaqeeni Hai Mohabbat Mein,

Main Bola,

Theek Hai Par Ishq To Eman Hota Hai,

Wo Boli,

Aarzoain Dil K Andsar Bain Karti Hain,

Main Bola,

Theek Hai Mujh Ko Sunai Dete Hain,

Wo Boli,

Hum To Jaise Ek Musalsal Dukh K Qaidi Hain,

Main Bola,

Theek Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai,

Wo Boli,

Koi Shab To Khawab Mein Bhi Khawab Aate Hain,

Main Bola,

Theek Hai Kuch Hasratain Aise Bhi Karti Hain,

Woh Boli,

Barishon Mein Aur Ziada Jan Sulagti Hai,

Main Bola,

Theek Hai Ye Aag Pani K Masail Hain,

Wo Boli,

Rat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Mein,

Main Bola,

Waqt To Kaifiaton Ka Naam Hota Hai,

Wo Boli,

Chahaton Mein Dard K Rehne Ki Khawaish Kion,

Main Bola,

Dard K Mare Howon Ko Chain Milta Hai,

Wo Boli,

Rooh Ki Aasoodgi Ko Kia Zaroori Hai,

Main Bola,

Rooh Ko Aaloodgi Achi Nahi Lagti,

Wo Boli,

Chand Ki Aur Chandni Ki Kia Kahani Hai,

Main Bola,

Aadam-o-Hawa Ki Chahat Ki Nishani Hai,

Wo Boli,

Be Sarapa Khwaishain Beemar Rakhti Hain,

Main Bola,

Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai,

Wo Boli,

Door Reh Kar Dard Barh Jata Hai Seene Mein,

Main Bola,

Qurbatain Bhi Hijar K Khadshe Barhati Hain,

Woh Boli,

Sham Hote Hi Udasi Phail Jati Hai,

Main Bola,

Rat Bhi To Aansoo'n Se Ishq Karti Hai,

Wo Boli,

Zindagi Mein Too Nahi To Zindagi Kab Hai,

Main Bola,

Har Taraf Ek La Ubali Mout Hadwi Hai,

Wo Boli,

Ishq Ka Apna Alheda Rang Hota Hai,

Main Bola,

Rang Ka Apna Alheda Ishq Hota Hai,

Woh Boli,

Dil Ko Koi Be Wajha Sa Khof Rehta Hai,

Main Bola,

Ishq To Be Baak Logon Ka Hi Shewa Hai,


Mohabbat Ek Pal Bhi Sukh Nahi Deti Kaha Us Ne,

Kaha Main Ne,

Mohabbat K Ilawa Kon Sa Sukh Hai,

Mohabbat Shehr Bhar Mein Goonj Jati Hai Kaha Us Ne,

Kaha Main Ne,

Mohabbat K Chupa Rehne Ki Khawaish Kia,

Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi Kaha Us Ne,

Kaha Main Ne,

Mohabbat Bin To Kainat Goongi Hai,

Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne,

Kaha Main Ne,

Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai,

Mohabbat Besabab Tarpaye Rakhti Hai Kaha Us Ne,

Kaha Main Ne,

K Ye Asbab Kia Shai Hai Mohabbat Mein,

Woh Kehti Hai,

Satare Aansoo'n Mein Kion Chamakte Hain,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai,

Woh Kehti Hai,

Hawa K Hath Mein Kia Kia Nahi Aata,

Main Kehta Hon Jo Dehleezon K Andar Dafan Hota Hai,

Wo Kehti Hai,

Amane Ko Dilon Se Ranj Kion Kar Hai,

Main Kehta Hon,

Ye Uzar To Sadion Ki Qismat Hai,

Wo Kehti Hai,

Tumhare Baad Kion Barish Nahi Hoti,

Main Kehta Hon,

Meri Jan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai,

Woh Kehti Hai,

K Khushion Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho,

Main Kehta Hon,

Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai,

Wo Boli,

Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Gay,

Main Bola,

Haan,

Shayad Mout Mujh Se Man Jaye Gi,

Wo Boli,

Tum Khushi K Geet Ko Mayoos Karte Ho,

Main Bola,

Kia Karon In Mukhtasar Geeton Ka Mosam Hai,

Wo Boli,

Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jate Ho,

Main Bola,

Kia Karon Kamzor Hon Aur Be Sahara Hon,

Wo Boli,

Kia Ye Sab Kuch Itifaqan Hai Tumhara Gham,

Main Bola,

Ye Bhi Mumkin Hai Ye Sab Ehtaraman Ho,

Wo Boli,

Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Qadar Yalghar Kion,

Main Bola,

Tum Kisi Din Ye To Apne Aap Se Poocho,

Woh Kehti Hai,

Suno Farhat! Tumhara Khawab Kion Toota,

Main Kehta Hon,

Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi,

Wo Boli

Tumhari Shairi Mein Zindagi Ki Siskian Kion Hain,

Main Bola,

Aansoo'n Ki Ibtadai Shakal Jo Thehri,

Wo Kehti Hai,

K Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hon,

Main Kehta Hon,

Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho,

Wo Kehti Hai,

Tumain Kion Khauf Aata Hai Hawaon Se,

Main Kehta Hon,

Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain,

Wo Kehti Hai,

Chalo Farhat! Hawa K Sath Chalte Hain,

Main Khamoshi Se Us Ke Sath Chal Deta Hon Bujhne Ko,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Tum Kahan Ghaib Ho Sadion Se,?

Main Kehta Hon,

Hazaron Waswason K Darmian Gum Hon,

Woh Mujh Se Poochti Hai,

Rat Ki Bechainian Kia Hain?

Main Kehta Hon,

Wohi Jo Doorion K Dil Mein Hoti Hain,

Wo Mujh Se Poochti Hai,

Khof Ka Dorania Kia Hai?

Main Kehta Hon,

Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Baadlon Ki Umar Kitni Hai?

Main Kehta Hon,

Tamazat K Mutabiq Panio K Waqt Jitni Hai,

Wo Mujhse Pochti Hai,

Rat Itni Bezuban Kion Hai?

Main Kehta Hon,

Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai,

Wo Kehti Hai,

Ye Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Ho Gi,

Main Kehta Hon,

Wohi Jo Ghuftago Ki Bheer Mein Kho Jaye,

Wo Kehti Hai,

K Farhat Kuch Dino Se Bolte Kam Ho,

Main Kehta Hoon,

Kai Dukh Bolne Se Rok Dete Hain,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Ye Soch Kar Batla Main Kaisi Hon?

Main Kehta Hon,

Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai,

Main Kehta Hon,

Tumhain Daria Kinare Kaise Lagte Hain,

Wo Kehti Hai,

Tumhain Bichare Sahare Kaise Lagte Hain,

Main Kehta Hon,

Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho,

Wo Mujh Se Poochti Hai,

Dard Se Darne Lage Ho Kia,

Wo Boli,

Rat Se Kia Bat Karte Ho Akele Mein,

Main Bola,

Dard Ki Kuch Kuch Mohabbat Ki Judai Ki,

Wo Boli,

Chand Kia Aata Hai Tum Se Chonchlain Karne,

Main Bola,

Haan Kabhi Sapnon K Aangan Mein Utarta Hai,

Wo Boli,

Kon Aksar Yad Aata Hai Udasi Mein,

Main Bola,

Kuch Purane Raste Bachpan Aur Ek Larki,

Wo Boli,

Dard Ki Jaziaat Mein Parne Se Kia Behtar,?

Main Bola,

Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jain,

Wo Boli,

Zindagi To Dairon K Phailne Se Hai,

Main Bola,

Mout Bhi Ek Daira Hai Door Tak Phaila,

Wo Boli,

Rooh K Andar Kahein Par Aag Jalti Hai,

Main Bola,

Haan Dhowan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein,

Wo Boli,

Ek Dahekta Shor Shariano Mein Behta Hai,

Main Bola,

Haan Badan Par Aable Main Ne Bhi Dekhain Hain,

Wo Boli,

Saans Par Bhi Dard K Korhe Baraste Hain,

Main Bola,

Haan Laho Par Neel To Main Ne Bhi Dekhain Hain,

Wo Boli,

Zaat Ki Teh Mein Na Jane Kia Nahan Ho Ga,

Main Bola,

Jism Par Ubhri Wareedon Se Bhi Zahir Hai,

Wo Boli,

Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hon,

Main Boa,

Nakhano Ki Zardion Ne Kar Dia Aryan,

Wo Kehti Hai,

Teri Jaibon Mein Itne Khawab Kion Kar Hain,

Main Kehta Hon,

Ke Dunia Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai,

Wo Kehti Hai,

Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise,?

Main Kehta Hon,

K Majboori Alamat Chor Jati Hai,

Wo Kehti Hai,

Teri Aawaz Mein Masoomiat Si Hai,

Main Kehta Hon,

K Ye Mazloomiat K Baad Aati Hai,

Wo Kehti Hai,

Tere Chehre Pe Qarb Be Karan Kaisa?

Main Bola,

Dil Ne Chehre Par Zara Sa Rang Chora Hai,

Wo Kehti Hai,

Tere Hathon Pe Zakhmo K Manazir Kion?

Main Kehta Hon,

K Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain,

Wo Boli,

Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya?

Main Bola,

Umar Se Pooch K Aakhir Umar Kion Beeti,

Wo Boli,

Husn Dhalne K Liye Hota Hai Lagta Hai,

Main Bola,

Husn Ho Ya Bakht Ho Ya Chand Sooraj Hon,

Wo Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aai,

Main Bola,

Rooh Tak Main Bhi Dararhain Parh Gai Hon Gi,

Wo Boli,

Hath Dekho Be Irada Hi Laraztain Hain,

Main Bola,

Hath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himat Se,

Wo Boli,

Zindagi Ka Aakhri Qirdar Hairat Hai?

Main Bola,

Mout Se Pehle Koi Ghar Bar Hairat Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Badalon Ko Kab Bulao Gay?

Main Kehta Hon,

Tumhain Jab Dhoop Ka Mosam Sataye Ga,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Panchion Se Aashnai Hai?

Main Kehta Hon,

K Ashkon K Qataron Se Bhi Waqif Hon,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Shehar Ki Buniad Mein Kia Hai?

Main Kehta Hon,

Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shaid,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Tum Samandar Mein Kabhi Utre?

Main Bola,

Ek Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Mayoosian Rasta Nahi Detein,

Main Kehta Hon,

Na K Ye Mayoosian Taqat Bhi Hoti Hain,

Wo Kehti Hai,

Bahut Tanha Hon Main Is Poori Doonian Mein,

Main Kehta Hon,

K Ye Ehsas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi,

Woh Kehti Hai,

K Mujh Par Shehr K Wehshi Lapakte Hain,

Main Kehta Hon,

Ke Tum Qardaar Ko Seena Sapar Kar Lo,

Wo Kehti Hai,

Hajoom Badrosh Se Khof Aata Hai,

Main Kehta Hon,

Mujhe Ujri Hoi Galian Darati Hain,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Be His Zamane Se Shikayat Hai,

Main Kehta Hon,

K Ye Shikwa Shikayat Raigan Hai Sab,

Wo Boli,

Tum Kahan Ghaib Rehte Ho Raton Ko,

Main Bola,

Main To Bas Aawara Phirta Hon Udasi Mein,

Wo Boli,

Phone Bhi Aksar Bahut Angej Rakhte Ho,

Main Bola,

Be Saropa Ghantion Se Khof Aata Hai

Wo Boli,

Tum Bahut Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte,

Main Bola,

Khat Likhon To Shairi Naraz Hoti Hai,

Wo Boli,

Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho,

Main Bola,

Ye To Tum Ne Mere Dil Ki Bat Keh Di Hai,

Wo Boli,

Aaj Mosam Mein Ajab Si Khush Gawari Hai,

Main Bola,

Han Ye Mosam Pyar Se Milne Ka Mosam Hai,

Wo Kehti Hai,

K Ab Aawargi Se Kuch Nahi Hasil,

Mujhe Hairat H

Wo Mujh Badal Se Kehti Hai,

Wo Kehti Hai,

Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai,

Main Kehta Hon,

Magar Dharti Hawa K Bas Se Bahir Hai,

Wo Kehti Hai,

Shabain Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi,

Main Kehta Hon,

Kahein Ye To Nahi Dhoka Dino Mein Ho?

Wo Kehti Hai,

Mujhe To Zindagi Se Ek Shikwa Hai,

Hamesha Sailon Ko Mout K Saye Mein Rakhti Hai,

Woh Kehti Hai,

KHUDA Milta To Us Se Bat Karti Main,

Main Kehta Hon,

Magar Main To Khamoshi Bantta Rehta,

Wo Kehti Hai,

K Farhat Be Zarar Rehna Nahi Acha,

Main Kehta Hon,

Kai Achaian Bas Mein Nahi Hoti,

Wo Kehti Hai,

Meri Yadon Se Kion Kar Door Rehte Ho?

Main Kehta Hon,

Teri Parchaian Bas Mein Nahi Hoti,

Wo Kehti Hai,

Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi?

Main Kehta Hon,

Jahan Tum Ho Ye Ratain Bhi Wahein Hoti,

Ajab Ik Manoiat Si Palat Aati Nazaron Mein,

Tumhain Hum Dekhte Bhi Aur Batain Bhi Wahein Hoti,

Satare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein,

Wo Kehti Hai,

Satare Aur Sapne Jhoot Hote Hain,

Wo Kehti Hai,

K Ab Ro'on To Aanso Chubhne Lagte Hain,

Main Kehta Hon,

Kisi Shayar Se Aankhain Mang Sakti Ho,

Wo Boli,

Aas Ki Faslain Kai Beemar Hain Dil Mein,

Main Bola,

Jis Tarha Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao,

Wo Boli,

Main Adhoore Qaidion Ki Saff Mein Shamil Hon,

Main Bola,

Is Ka Matlab Hai K Aazadi Nahi Mumkin,

Wo Boli,

Kuch Likhon To Unglion Se Khoon Rasta Hai,

Main Bola,

Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hon,

Wo Boli,

Dard Ne Asaab Ko Murda Bana Dala,

Main Bola,

Ishq Ki Bechainion Se Zindagi Kar Lo,

Wo Kehti Hai,

Agar Sab Raste Masdwa Ho Jayain,

Main Kehta Hon,

To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jain,

Wo Kehti Hai,

Agar Be Chainian Be Sood Ho Jain,

Main Kehta Hon,

Fana Fi Alnar Hasat-o-Bod Ho Jain,

Wo Kehti Hai,

Agar Weranian Raste Mein Aa Jain,

Main Kehta Hon,

Hazaron Gham Bahut Saste Mein Aa Jain,

Wo Kehti Hai,

Tumhain Takhti Pe Apne Harf Likh Don To,?

Main Kehta Hon,

Teri Batain Mere Baste Mein Aa Jain,

Wo Kehti Hai,

Balain Jab Bhi Mera Naam Leti Hain,

Main Kehta Hon,

Tujhe Meri Duain Thaam Leti Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Mujh Se Batain Kion Nahi Karte?

Main Kehta Hon,

Abhi To Dekhne Ki Manzalon Par Hon,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Sham Kia Weeraan Hoti Hai?

Main Kehta Hon,

K Ye To (HIJAR) Ki Pehchan Hoti Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Rat Jaon Ka Rang Kaisa Hai?

Main Kehta Hon,

K Jaise Jagne Wale Ki Aankhon Ka,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

HIJAR Ki Qismain Bhi Hoti Hain?

Main Kehta Hon,

Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Pyar Ka Matlab Batao Gay?

Main Kehta Hon K Har Ek Bat Ka Matlab Nahi Hota,

Wo Boli,

Raste Mein Dard K Kitne Samandar Hain?

Main Bola,

Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye,

Wo Boli,

Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baqi,

Main Bola,

Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jao,

Wo Boli,

Kainatain Is Qadar Simti Hoi Hain Kion,?

Main Bola,

Is Qadar Wasa'at Kahan Se Aai Hai Tum Mein?

Wo Boli,

Be Saropa Zindagi Se Kia Howa Hasil?

Main Bola,

Kuch Bhi Ho Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai,

Wo Kehti Hai,

Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Mein Kahein Thehra Nahi Jata,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aashiane Jal Gaye Hon Gay,

Main Kehta Hon,

K Shaid Itifaqan Bach Gaye Hon Gay,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aaj Phir Goli Chali Ho Gi?

Main Kehta Hon,

K Han Kuch Mayatain Aai Hain Basti Mein,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Hon Gay?

Main Kehta Hon,

Koi Kehraam To Barpa Tha Sarkon Par,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Phir Adalat Mar Gai Ho Gi?

Main Kehta Hon,

K Mujrim To Bazat Khud Hi Munsif Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Baad Shah-e-Waqt Kaisa Hai?

Main Kehta Hon,

Bahut Mutmain Rehta Hai Bechara,

Wo Kehti Hai,

Hawain Rat Se Aangan Mein Bethi Hain,

Main Kehta Hon,

Ghutan Apna Asar Dikhla K Chore Gi,

Wo Kehti Hai,

Khamoshi Farsh Par Saye Banati Hai,

Mein Kehta Hon,

Udasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi,

Woh Kehti Hai,

K Parchai Bhi Ab Humzad Lagti Hai,

Main Kehta Hon,

K Tanhai Ne Pagal Kar Dia Ho Ga,

Wo Kehti Hai,

Meri Chat Par Haole Raqs Karte Hain,

Main Kehta Hon,

K Ye To Waswason Ne Bheis Badla Hai,

Wo Kehti Hai,

Koi Rota Hai Galion K Andheron Mein,

Main Kehta Hon,

Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein,

Wo Mujh Se Poochti Hai,

Kia Hai Kuch Hairan Lagte Ho,

Main Kehta Hon,

K Khud Ko Khawab Mein Hai Mutmain Dekha,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kia Hai Itne Mutmain Kion Ho?

Main Kehta Hon,

K Khud Ko Khawab Mein Hairan Dekha Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch,?

Main Kehta Hon,

K Dil Mein Ishq Ka Mehman Dekha Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kia Pareshani Hai Farhat Jee,

Main Kehta Hon,

K Sare Shehar Ko Weeran Dekha Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Bad Shagooni Ka Sabab Kia Hai?

Main Us Se Poochta Hon,

Zindagani Ka Adab Kia Hai?

Wo Boli,

Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon,

Main Bola,

Raakh Ko Kia Raakh K Bare Batao Gi?

Wo Boli,

Aa Tujhe Main Dasht K Maani Batati Hon,

Main Bola,

Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hon,

Wo Boli,

Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon,

Main Bola,

Mout K Mare Hove Ko Khoob Samjhao,

Woh Boli,

Aa Tujhe Main HIJAR Ka Mara Dikhati Hon,

Main Bola,

Han Mujhe Tum Le Chalo Mere Hi Kamre Mein,

Wo Kehti Hai,

Ghubar-e-Waqt Mein Dhundla Gia Jeevan,

Main Kehta Hon,

Palat Kar Dekhna Takleef Deta Hai,

Wo Kehti Hai K Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte,

Main Bola,

Kia Karon Koi Gawara Hi Nahi Karta,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kia Mujhe Tum Yad Karte Ho,?

Main Kehta Hon,

K Jan-e-Mann Tumhain Main Bhoolta Kab Hon,

Wo Kehti Hai,

K Ab To Raigan Lagta Hai Sara Kuch,

Main Kehta Hon,

Mujhe To Raigani Ka Bahut Dhoka Hai,

Wo Kehti Hai,

Tamanain Salamat Hi Nahi Ab To,

Main Kehta Hon,

K Jeevan Mein Ye Thehrao Bhi Aata Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Shorq Chashm Tamasha Kia Hai?

Main Kehta Hon,

K Ye To Shorq Aalam Ka Hissa Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Baiat-e-Sultan-e-Gham Kion Kar,

Main Kehta Hon,

K Ye Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat K,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Jabar Per Sabar Musalsal Kion,

Main Kehta Hon,

K Jab Tak Jang Ki Soorat Nahi Milti,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aalam-e-Bala Kahan Par Hai,

Main Kehta Hon,

Hamari Fikar Ki Balai Manzal Par,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain?

Main Kehta Hon,

Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai,

Wo Kehti Hai,

Main Rizq Khaak Be Maani Hon Dunia Mein,

Main Kehta Hon,

K Ye Sara Nizaam-e-Aadmiat Hai,

Woh Kehti Hai,

Main Aajz-E-Fitrat-e-Konain Hon Jana,

Main Kehta Hon,

Mujhe Malom Hai Aaye Azmat-e-Khaki,

Wo Kehti Hai,

Main Khawab-e-Noor-e-Batin Hon Sahifon Mein,

Main Kehta Hon,

Kise Inkar Hai Aaye Khawaish-e-Yazdan,

Woh Kehti Hai,

Main Husn-e-Narmi Ehsas Hon Farhat!

Main Kehta Hon,

K Main To Khud Gawah-e-Lams-e-Shabnam Hon,

Woh Kehti Hai,

K Main Khushbo-e-Atar-e-Surkhi-e-Subha Hon,

Hawaas Khamsa Aalim Mujhe Mehsoos Karte Hain,

Wo Boli,

Main Aseer-E-Hijrat Hon Zamanon Se,

Main Bola,

Be Thikana Pan To Sadion Ka Asasa Hai,

Wo Boli,

Main Gul-e-Shakh-e-Gham-e-Tanhai Hon Farhat,

Main Bola,

Main Mazar-e-HIJAR Hon Wehshat K Narghe Mein,

Wo Boli,

Main Mata-e-Ghair Hon Tere Liye Farhat!

Main Bola,

Han Ye Sadion Se Mohabbat Ka Vateera Hai,

Wo Boli,

Main Dar-e-Iwaan-e-Hairan Hon Zamane Mein,

Main Bola Main Musafir Hon,

Main Bola Main Musafir Hon,

Wo Boli,

Main Talooh-E-Aaftab Husan Ka Manzar,

Main Bola,

Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hon,

Wo Kehti Hai,

Andhere Raston Se Khof Aata Hai,

Main Kehta Hon,

Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein,

Wo Kehti Hai,

Zamane Ka Rawaia Dil Mein Chubhta Hai,

Main Kehta Hon,

K Achi Bat Hai Tum Mukhtalif To Ho,

Wo Kehti Hai,

K Jane Kion Khamoshi Bhi Khatakti Hai,

Main Kehta Hon,

K Mumkin Hai Tumhain Kehna Ho Kuch Us Ne,

Wo Kehti Hai,

Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein,

Main Kehta Hon,

Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Kar Dekho,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein,

Main Kehta Hon,

K Ye To Buzdali Hai Raigani Ki,

Wo Boli,

Barashon Se Mustaqil Jhagre Se Kia Hasil?

Main Bola,

Barshon Se Hat Ta'aluq Teri Khatir Hai,

Wo Boli,

Main Majboor Hon Jeewan K Chungal Mein,

Main Us K Jhoot Par Bola,

KHUDA Ka Reham Ho Tum Par,

Wo Boli,

Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kia,

Main Bola,

Ishq Ka Apna Nizam-e-Wasl Hota Hai,

Wo Boli,

Doorian To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karti?

Main Bola,

Han Magar Milne Ki Khawaish Ko Barhati Hain,

Wo Boli,

Saath Bandh Jane Se Behtar Hai Bichar Jain,

Main Us Ki Bat Par Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola,

Woh Kehti Hai,

Safar Mein Kion Satare Sath Chalte Hain?

Main Bola,

Jis Tarha Daria Kinare Sath Chalte Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Chand Ki Basti Kahan Par Hai?

Main Us Ki Bat Par Us Ehad Mein Hairan Hota Hon,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kon Soraj Mein Sulagta Hai?

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aur Dil Ko Thaam Leti Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Rooh Ki Larzish K Bare Mein,

Main Kehta Hon K Ye To Be Qarari Raqa Karti Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Almia Kia Cheez Hoti Hai?

Main Kehta Hon,

Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shaid,

Wo Boli,

Sawano Mein Ab Wo Pehle Rang Kam Kam Hain,

Main Bola,

Ab Piya Bhi To Sookhi K Sang Kam Kam Hain,

Wo Boli,

Nain Kuch Kehte Hove Aksar Jhijhakte Hain,

Main Bola,

Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta,

Wo Kehti Hai,

K Jhanjhar Ab Tumhain Mail Nahi Karti?

Main Kehta Hon,

Tumhain Ab Zindagi Qail Nahi Karti?

Wo Kehti Hai,

K Peele Phool Bhi Khushbo Nahi Dete,

Main Kehta Hon,

Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein,

Wo Kehti Hai,

Mohabbat Hadson Ko Khainch Lati Hai,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Mojzon Ko Shakal Deti Hai,

Wo Kehti Hai,

Hawain Pairh Se Manoos Hoti Hain,

Main Kehta Hon,

K Un K Darmian Rishta Purana Hai,

Wo Kehti Hai,

Sadain Parbaton Se Lout Aati Hain,

Main Kehta Hon,

Un Ko Un Se Tukrana Nahi Aata,

Wo Kehti Hai,

Fizain Husn Se Aabad Rehti Hain,

Main Kehta Hon,

Agar Is Husn Ki Taqdees Baqi Ho,

Wo Kehti Hai,

Wafain Shehr Se Bezar Kion Kar Hain,

Main Kehta Hon,

K Itne Chup Dar-o-Deewar Kion Kar Hain,

Wo Kehti Hai,

Ghatain Dasht Ke Is Paar Kion Kar Hain,

Main Kehta Hon,

K Ye To Pyas Ki Apni Karamat Hai,

Wo Boli,

Aasmano Ki Taraf Nazrain Nahi Uthti,

Main Kehta Hon,

K Shaid Bojh Parta Hai Nigaho Par,

Wo Kehti Hai,

Zameen Pairon Ke Neeche Sard Kion Kar Hai?

Main Kehta Hoon,

Zameen Hum Se Bahut Naraz Rehti Hai,

Kaha Us Ne,

Meri Itraf Mujh Ko Qaid Rakhti Hai,

Kaha Main Ne,

K In Itraf Se Bahir Nahi Kuch Bhi,

Kaha Us Ne,

Darakhat Apni Jaron Se Pyar Karte Hain,

Kaha Main Ne,

Jarain Ek Roz In Ko Mar Deti Hain,

Kaha Us Ne,

KHUDA Ache Bure Ki Bat Sunta Hai,

Kaha Main Ne,

Usay Aawaz Ki Pehchan Aati Hai,

Wo Boli,

Main Chehakte Badalon Ki Gun Gunahat Hon,

Main Bola,

Tum Mehakte Motion Ki Muskarahat Ho,

Wo Boli,

Main Suhane Mosamo K Geet Jaisi Hon,

Main Bola,

Tum Haseen Dehation Ki Pareet Jaisi Ho,

Wo Boli,

Main Chamakti Chandni K Rang Jaisi Hon,

Main Bola,

Tum Mohabbat K Purane Jhang Jaisi Ho,

Woh Boli,

Main Lehakti Wadion Ki Khushboo'n Jaisi,

Main Bola,

Qaaf Ki Shehzadion Ki Khushboo'n Jaisi,

Wo Boli,

Main Samandar Paar Ki Janat Se Aai Hon,

Main Bola,

Main Tumhaare Khas Istaqbal Ko Aaya,

Woh Kehti Hai,

K Mujh Se Titlian Bhi Pyar Karti Hain,

Main Kehta Hon,

Unhain Tum Bagh K Phoolon Si Lagti Ho,

Wo Kehi Hai,

Mujhe Jugno Bhi Choone K Liye Aain,

Main Kehta Hon,

Tumhain Wo Chand Ki Mehman Samajhte Hain,

Wo Kehti Hai,

Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain,

Main Kehta Hon,

Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahain,

Wo Kehti Hain,

Main Hans Don To Fizain Raqs Kar Uthain,

Main Kehta Hon,

Too Ro De To Ghatain Raqs Kar Uthain,

Wo Kehti Hai,

Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain,

Main Kehta Hon,

Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain,

Wo Boli,

Dard Aksar Rat Ko Soya Nahi Karta,

Main Bola,

Is Tarha To Koi Bhi Rota Nahi Karta,

Wo Boli,

Hum To Ek Sham-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain,

Main Bola,

Karbala Walon Se Kuch Nisbat Theharti Hai,

Wo Boli,

Dil Ki Weerani K Saye Cheekh Uthte Hain,

Main Bola,

Rat K Pichle Pehar Ek Jashan Hota Hai,

Wo Boli,

Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai,

Main Us Se Pochta Hon,

Kon Bichra Hai Jawani Mein,

Wo Boli,

Eik Deewar-e-Ana Hail Rahi Ab Tak,

Main Bola,

Ab Talak Nuqsan Bhi To Ho Chuka Kafi,

Woh Boli,

Rat K Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa,

Main Bola,

Han Ye Peshani Anokhi Hai Zamane Mein,

Wo Boli,

Har Taraf Jangal Mein Ek Pazeb Bajti Hai,

Main Bola,

Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si,

Wo Boli,

Sardion Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi,

Main Bola,

Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi,

Wo Boli,

Barishon Mein Shehr Dhal Jata Hai Lamhon Mein,

Main Bola,

Han Magar Aankhain Bahut Thak Jaya Karti Hain,

Wo Boli,

Garmion Mein Pair Ki Chaon Bulati Hai,

Main Bola,

Garmion Mein Pair Bhi Kaisi Panahain Hain,

Wo Boli,

Zat Ko Taqseem Hi Karte Raho Gay Kia,

Main Bola,

Waqt K Apne Taqaze Dil K Apne Hain,

Wo Boli,

Phir Palat Aaye Chale To Phir Palat Aaye,

Main Bola,

Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni,

Wo Boli,

Har Sarak Jati Hai Gham K Shehr Ki Janib,

Main Bola,

Aur Agar Wo Shehr Apne Dil Mein Ho To Phir,

Wo Boli,

Gham Hamesha Sath Deta Hai Museebat Mein,

Main Bola,

Ek Zara Thehr Mujhe Ghor Se Dekho,

Wo Boli,

Kia Zaroori Tha Mujhe Tum Sath Hi Rakhte,

Main Bola,

Rooh Bin Main Jisam Kia Karta Kahan Jata,

Wo Boli,

Aa Gia Hai Rateela Mosam Judai Ka,

Main Bola,

Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra,

Woh Boli,

Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai,

Main Bola,

Dard Ki Mari Hoi Aankhon Ko Us Se Kia,

Wo Boli,

Soch Lo Is Dhoop Mein Kante Baraste Hain,

Main Bola,

Ye To Acha Hai Badh Per Phool Mehkain Gay,

Wo Boli,

Rat Zakhmon Par Bahut Teesain Bhi Barsain Gi,

Main Bola,

Zakhm Par Zakhmon Ki Seh Jane Ki Adat Hai,

Wo Boli,

Aarzo'on K Laho Ka Zaiqa Kia Hai,

Main Bola,

Talkh Hai Meeta Hai Karwa Hai Raseela Hai,

Wo Kehti Hai K Main To Mang Mein Soraj Sajaon Gi,

Main Kehta Hon,

K Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle,

Wo Kehti Hai,

Main Apne Dil Mein Ek Deewar Uthaon Gi,

Main Kehta Hon,

K Main Is Bat Ka Matlab Nahi Samjha,

Wo Kehti Hai,

Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi,

Main Kehta Hon,

K Benai Jhils Jaye Gi Aise To,

Wo Kehti Hai,

Main Pairhon Par Tumhara Bakht Likhon Gi,

Main Kehta Hon,

K Pairhon Se Adawat Hai Tumhain Koi?

Wo Kehti Hai,

Main Pani Par Tera Chehra Banaon Gi,

Main Kehta Hon,

Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Pani Tha,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Tum Kise Mujrim Samajhte Ho?

Main Kehta Hon,

Usay Jo Dard K Maani Na Samjha Ho,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Jhoot Aur Sachaian Kia Hain,

Main Kehta Hon,

K Niyat Aur Nataij Ki Pazeerai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Sab Se Pehle Kon Rehta Tha?

Main Kehta Hon,

K Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kon Reh Jaye Ga Dunia Mein,

Main Kehta Hon,

K Bilkul Ek Nai Aur Ajnabi Dunia,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Mout K Bare Mein Batao Gay,

Main Kehta Hon,

Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Jangalon Mein Kon Rehta Hai?

Main Kehta Hon,

Wohi Jo Shehr Mein Rehne Se Khaif Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aasmano Se Pare Kia Hai,

Main Kehta Hon,

Na Verane Na Aabadi Na Barbadi,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Waqt Ko Tum Kia Samajhte Ho,

Main Kehta Hon,

K Har Ehsas Ke Adaad Ki Ginti,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Kia KHUDA Ko Mante Ho Tum,

Mian Kehta Hon,

Yaqeenan Aur Usay Mehsoos Karta Hon,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Ye Mazahib K Masail Kia Hain,

Main Kehta Hon,

K Dunia K Bare Logon Ki Batain Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Khawab Ki Tabeer K Baare,

Main Us Se Pochta Hon,

Aqal Ki Jageer K Baare,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Zindagi K Raz K Baare,

Main Us Se Pochta Hon,

Dharkanon K Saz K Baare,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Rat Aur Din Ki Musafat Kia?

Main Kehta Hon,

Ye Saye Hain Kisi Qaidi Musafir K,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To?

Main Kehta Hon,

Nahi Hona Bhi Hota Hai Jahano Mein,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Aqal Kia Hai Aur Dil Kia Hai?

Main Kehta Hon K Ek Ikhtelaf Amal Paheem Hai?

Wo Kehti Hai,

K Deewano K Koi Kya Bharosa Hai,

Main Kehta Hon,

Bharose K Liye Dunia Hi Kia Kam Hai,

Wo Kehti Hai,

Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare,

Main Kehta Hon,

Magar Ek Geet Ko Aur Chandni Shab Ko,

Wo Kehti Hai,

Suno Farhat Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,

Main Kehta Hon,

Meri Jan Tum To Khud Meri Rayazat Ho,

Wo Kehti Hai,

Ye Sare Log Kion Batain Banate Hain,

Main Kehta Hon,

Meri Jan Ye Mohabbat Ka Muqadar Hai,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Kainati Geet Hoti Hai,

Wo Thora Gun Guna K Aansoo'n Mein Doob Jati Hai,

Wo Kehti Hai,

K Jab Main Hansti Hon To Hawain Raqs Karti Hain,

Aur Parinde Cheh Chahate Hain,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Har Taraf Ek Be Kali Kion Hai,

Main Kehta Hon,

Koi Anjam Aa Pohancha Hai Basti Mein,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Be Saro Saman Kab Se Ho?

Main Us Se Pochta Hon,

Is Qadar Nadan Kab Se Ho?

Wo Mujh Se Poochti Hai,

Kon La Waris Hai Muqatal Mein?

Main Kehta Hon,

Wohi Jo Qatal Karne K Liye Aaye,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Shehr Ki Halat Ka Kia Ho Ga?

Main Kehta Hon,

Koi Din Mein Balain Lout Jain Gi,

Wo Mujh Se Pochti Hai,

Karbala Kia Phir Bapa Ho Gi?

Main Kehta Hon,

Nahi Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi,

Wo Boli,

Dard K Us Par Bhi Ek Dard Hota Hai.................! 

 

Comments

  1. Ek line samjh nahi aayi arzuen dil ke andsar bain karti hai yeh koi mujhe hindi me bhejoge kya please

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha