Eik Samandar Meri Chashm-E-Tar Mein Hai

 

Poet: Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Eik Samandar Meri Chashm-E-Tar Mein Hai.

Jab Se Teri Judai Ka Gham Mere Ghar Mein Hai.

Har Naqsh Pe Tera Gummaan Hota Hai Mujhe.

Yehi Aik Aks Bas Mere Dil K Nagar Mein Hai.

Mein Justajo Mein Teri Chaman Chaman Mein Gia.

Magr Tere Badan Ki Khusbo Safar Mein Hai.

Shehr-E-Tamana Mein, Mein Ne Har Aik Se Sawaal Kia.

Kia Koi Aur Aesa Sitmgar Tumahri Nazar Mein Hai.

Shayad K Mujhe Saliqa Hi Nahi ishq Ka.

AYAZ, Ruswai K Siva Kia Muhabbat K Samar Mein Hai............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai