Gham-E-Hayat Mein Jeena Koi Mazaq Nahi

 

Poet: Sayad M Ali Barq

Type By 

Ayaz Khan

Gham-E-Hayat Mein Jeena Koi Mazaq Nahi,

Libas-E-Rooh Ka Seena Koi Mazaq Nahi,

Gul-E-Hayat K Poday Ko Sechne K Liye,

Bahana khon Paseena Koi Mazaq Nahi,

Bata De Saqi Sar-E- Bazam Aaj rendon Ko,

Sharab-E-Ishq Ka Peena Koi Mazaq Nahi,

Jo Mangte Hain Duain Daraz Umri Ki,

Unhain Bata Do K Jeena Koi Mazaq Nahi,

Mohabbaton K Samandar Mein BARQ Rehne Do,

Louta Hai Dil Ka Safeena Koi Mazaq nahi.................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo