Kab Se Tum Ne Apnaya Is Tarha Ka Ho Jana

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Kab Se Tum Ne Apnaya Is Tarha Ka Ho Jana!

Shab Ko Jagte Rehna Din Ko Thak K So Jana,

Shehr Mein To Mujh Jaisi Beshumar Aankhain Hain,

Tum Bhi Khair Se Jao Tum Na Un Mein Kho Jana,

Adal K Kathere Mein Jurm Bol Parta Hai,

Dagh Dagh Daman Se Kuch Laho To Dho Jana,

Tan Ki Shak Shak Ab K Choor Hai Gulabon Se,

Tum Bhi Apne Hisse K Phool Paroo Jana,

Mere Bad Ka Rasta Tum Se Kat Na Paye Ga,

Jo Bhi Ajnabi Dekho Ab Usi K Ho Jana,

Jab Kabhi Paharon Mein Chand Doobta Dekhon,

Mujh Ko Yad Aata Hai Tere Shehr Ko Jana,

Kuch Na Kuch To Wise Mein Chorna Bhi Hai,

MOHSIN

Reit Reit Kheton Mein Kuch Na Kuch To Bo Jana..................!

Book

Taloo-E-Ashk 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai