Kabhi Samandar Kabhi Satara

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Lage Na Kion Khud Se Mujh Ko Pyara,

Kabhi Samandar Kabhi Satara,

Meri Musafat Ka Ista'ara Kabhi Samandar Kabhi Satara,

Teri Meri Qurbaton Ka Mosam,

Bikhar K Simte Simat K Bikhre,

Isi Liye Aankh Mein Utara Kabhi Samandar Kabhi Satara,

Niya Niya Ishq Karne Walo,Humi Se Is Ka Ziyan Bhi Pocho,

Bisat-E-Hasti Pe Hum Ne Hara Kabhi Samandar Kabhi Satara,

Tere Liye Jagne Ko Mehkain,

Kabhi Gulistan Kabhi Charaghan,

Mere Liye Khawab Ka Ishara,

Kabhi Samandar Kabhi Satara,

Wo Kehkashaan Zad-O-Seel-Nekahat,

Humare Hum Raah Chal Para Tha,

Kahan Tha Warna Humain Gawara,

Kabhi Samandar Kabhi Satra,

Mere Bhatakne Pe Jan-E-Mohsin Ye Tanz Kaisa,

K Is Jahan Mein Howe Hain Besimat-O-Be Kinara,

Kabhi Samandar Kabhi Satara..........!

Book

Taloo-E-Ashk

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai