Kitni Aziat Se Mujhe Us ne Bhulaya Ho ga

 

Kitni Aziat Se Mujhe Us ne Bhulaya Ho ga

Meri Yad Ne Usay Khoob Rulaya Ho ga

Bat Be Bat Jo Aankh Us ki Chalki Ho gi

Us ne Chehre Ko Bazon Mein Chupaya Ho ga

Socha Hoga Us ne Din Mein Kai Bar Mujhe

Naam Hatheli Pe Bhi Likh Likh Kar Mitaya Ho ga

Jahan Us ne Mera Zikar Suna Ho ga Kisi Se

Us ki Aankhon Mein Koi Aansu To Aaya Ho ga

Rat Ko Bhi Deer Tak Neend Na Aai Ho gi

Usnay Takiye Ko Bhi Seene Se Lagaya Ho ga

Ho K Nidhaal Meri Yadon Se Us Ne

Meri Tasveer Se Sar Apna Tikaya Ho ga

Poocha Ho ga Jo Kisi Ne Us Ki Halat Ka Sabab

Us Ne Baton Mein Khoob Us Se Chupaya Ho ga

Jab Kabhi Chand Ko Dekha Ho ga Akela Us Ne

Usay Mera Piar Bara Yad Aaya Ho ga..........!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai