Kuch To Ahd-E-Khoon Fashan Aur Hai

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Kuch To Ahd-E-Khoon Fashan Aur Hai,!

Kuch Meri Aankhon Ne Thani Aur Hai,!

Wossat-E-Sehra-E-Aalam Se Udhar,

Dasht-E-Gham K Bekarani Aur Hai,

Ya Adhoori Hai Gawahi Ishq Ki,

Ya Phir Us K Badgumani Aur Hai,!

Youn Bazid Hai Aankh Rone Par Abhi,

Jaise Is Daria Mein Pani Aur Hai,

Shola Khurshee-e-Mehshar Ki Qasam,

Us Ka Mayar-E-Jawani Aur Hai,

Ek Wo Khud Hai Jhutpate Ki Chandni,!

Ek Dobatta Us Pe Dhani Aur Hai,!

Sab Ruttain Dekhi Hain Is Dil Ne Magar,

Ab K Mosam Mein Girani Aur Hai,

Doob Jane Do Satara Subha Ka,

Us K Aane Ki Nishani Aur Hai,

Dastan Hai Aur Aankhon Mein Magar,

Dil Mein Posheeda Kahani Aur Hai,!

Ishq Mein MOHSIN Kahan Jeena,?

Harne Mein Kamrani Aur Hai..............!

Book

Taloo-E-Ashk 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo