Logon K Liye Sahib-E-Qirdar Bhi Main Tha

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Logon K Liye Sahib-E-Qirdar Bhi Main Tha,

Khud Apni Nigahon Mein Gunhagar Bhi Main Tha,

Kion Ab Mere Mansab Ki Salami Ko Kharre Ho,?

Yaro Kabhi Ruswa Sar-E-Bazar Bhi Main Tha,

Main Khud Hi Chupa Tha Qaf-E-Qatil Ki Shikan Mein,

Maqtool Ki Tooti Hoi Talwar Bhi Main Tha,

Cheente Hain Jahan Ab Mere Masoom Laho K,

Us Farq-E-Falak-Naaz Ki Dastar Bhi Main Tha,

Meri Hi Sadaa Lout K Aai Hai Mujh Hi Tak,

Shayad Had-E-Aflak K Us Paar Bhi Main Tha,

Manzil Pe Jo Pohancha Hon To Maloom Howa Hai,

Khud Apne Liye Raah Ki Deewar Bhi Main Tha,

Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai Too Lekin,

Kal Tak Teri Pehchan Ki Mayar Bhi Main Tha,

Dekha To Main Afsha Tha Har Ek Zehan,

MOHSIN

Socha To Pass-E-Parda Israar Bhi Main Tha..............! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo