Maqtal Mein Bhi Ahl-E-Jano Hain Kaise Ghazal Khawaan

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Maqtal Mein Bhi Ahl-E-Jano Hain,

Kaise Ghazal Khawaan Dekho To,!

Hum Pe Pather Phankne Walo Apne Gariban Dekho To,!

Hum Bhi Urain Khak-E-Bayabaan,

Dasht Se Tum Guzaro To Sahi,

Hum Bhi Dekhain Chaak-E-Garibaan Lekin Jana Dekho To,

Aaye Tabeerain Karne Walo Hasti Mana Khawab Sahi,

Us Ki Rat Mein Jago To Ye Khawab-E-Parshan Dekho To,!

Aaj Satare Gum Sum Hain Kion Chand Hai Kion Sodai Sa,

Aaine Se Bat Karo Us Bhaid Ka Anwan Dekho To,!

Kis K Husn Ki Basti Hai Ye Kis K Roop Ka Mela Hai,!

Aankh Utha Aaye Husn-E-Zulaikha Yosaf-E-Kanaan Dekho To,!

Jo Bhi Ilaj Dard Karo Main Hazir Hon Manzoor Mujhe,

Lekin Ek Shab Amjid Jee Wo Chehra-e-Tabaan Dekho To...............!

Book

Zara Phir Se Kehna 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai