Mita Rahi Thi Mujhe Tarz-e-Intaha Us Ki

 

 

Poet Ada Jafri 

 

Mita Rahi Thi Mujhe Tarz-e-Intaha Us Ki,

Main Kis Ki Jan Bachata Khud Apni Ya Us Ki,

Udas Kis Liye Rehta Tha Roothta Kion Tha,

Kabhi Na Khul Saki Mujh Par Koi Ada Us Ki,

Na Main Ne Koi Sada Us Ko Di Na Wo Louta,

Meri Anaa K Muqabil Rahi Anaa Us Ki,

Usay Kharaj-e-Mohabbat Ada Karon Ga Zaroor,

Zara Main Yad To Kar Lon Koi Wafa Us Ki,

Wo Chand Log Jo Meri Taraf Thay Kia Karte,

Udhar To Aik Khudai Thi Hum Nawa Us Ki,

Na Jane Kitni Mohabbat Thi Us Ki Nafrat Mein,

Kai Duaon Se Behtar Thi Bad Dua Us Ki,

Us Se Juda Howe Barson Guzar Gaye,

Mager Hai Naqsh-e-Dil-o- Jan Pe Har Ada Us Ki.................!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo