Phir Toot K Rone Ki Rut Aai Hai

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Phir Toot K Rone Ki Rut Aai Hai

Phir Se Dilon K Zakham Nikharte Jate Hain

Jhooti Sachi Tabeeron Ki Khwaahish Hai

Kaise Kaise Khawab Bikharte Jate Hain

Kaise Kaise Yaron Ka Behroop Khula

Kaise Kaise Khoul Utarte Jate Hain

In Haalon Kab Apne Aap Ko Dekha Tha ?

Kehne Ko Din Rat Guzarte Jate Hain

Rahgeeron Ki Khamoshi Ko Ghor Se Sun

Youn Hai Jaise Matam Karte Jate Hain

Kabhi Kabhi Koi Aysa Musafir Aata Hai

Raste Apne Aap Sanwarte Jate Hain

Sheher-e-Ghazal Ki Galion Mein Dilgeer Tere

Tujh Se Teri Batain Karte Jaatay Hain............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo