Phool Ban Kar Teri Har Shaakh Pe Khilta Main Tha

 

 

Poet Mahmood Sham 

 

Phool Ban Kar Teri Har Shaakh Pe Khilta Main Tha,

Khushbooain Tujh Mein Utarti Thein Mehakta Main Tha,

Meri Sanson Mein Ghuli Thein Teri Subhain Shamain,

Teri Yadon Mein Guzarta Howa Arsa Main Tha,

Shor Tha Jaise Samandar Mein Ho Girta Daria,

Aur Jab Ghor Se Dekha To Akela Main Tha,

Ehad-E-Rafta Tha Idhar Aur Udhar Aaina,

Dono Waqton Ko Milata Howa Lamha Main Tha,

Rat Ki Goud Mein Sar Rakh K Zameen So Jati,

Subha Tak Chand K Seene Mein Dharakta Main Tha,

Apni Hi Aag Mein Jab Log Jhulasne Lage,

Sab K Honton Pe Dua Ban K Ubharta Main Tha,

Jis Pe Daria Ne Kinaron Se Baghawat Kar Di,

Barish-E-Khoon Ka Wo Akhri Qatra Main Tha,

Aankh Rakhta Tha Khuli Aur Tabiat Mozon,

Tajurbe Doosre Karte Thay Sanwarta Main Tha................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo