Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheeno

 

Poet Wasi Shah 

 

Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheeno,

Kabhi Kisi Se Kisi Ka Kamal Mat Cheeno,

Khushi Isi Mein Agar Hai To Har Khushii Le Lo,

Ye Dukh Ye Dard Ye Huzn-o-Malaal Mat Cheeno,

Isi Khalsh K Sabab Phir Mujhe Ubharna Hai,

Khuda Waste Ohd-e-Zawal Mat Cheeno,

Main Chor Sakta Nahi Istaqamat Ka,

Meri Azan Se Josh-e-Bilaal Mat Cheeno,

Abhi Kitab Na Cheeno Tum In K Hathon Se,

Humare Bachon Ka Husan-o-Jamaal Mat Cheeno,

Humari Aankh Mein Yadon K Zakham Rehne Do,

Humare Hath Se Phoolon Ki Daal Mat Cheeno,

Abhi Bujhao Na Kandal Na Kaik Kaato Abhi,

Kuch Aur Dair Mera Pichla Saal Mat Cheeno..............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo