Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange

Dil Wo bemehr K Rone K Bahane Mange,

Hum Na Hote To Kisi Aur K Charche Hote,

Khalqat-3-Sher To Kehne Ko Fasane Mange,

Yehi Dil Tha K Tarasta Tha Marasim K Liye,

Ab Yehi Tark-e-Taluq K Bahane Mange,

Apna Ye Haal K Jee Haar Chuke Lot Bhi Chuke,

Aur Mohabbat Wohi Andaz Purane Mange,

Zindagi Hum Tere Daghon Se Rahe Sharminda,

Aur Too Hai K Sada Ayna Khane Mange,

Dil Kisi Haal Pe Qane Hi Nahi Jaan-3-Faraz,

Mil Gaye Tum Bhi To Kia Aur Na Jane Mange.......................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai