Ro Ro K Tere Dukh Mein Sehra Sa Ho Gia Hon

 

Poet Wasi Shah 

 

Ro Ro K Tere Dukh Mein Sehra Sa Ho Gia Hon,

Ab Aankh K Kinare Bhi Num Nahi Rahe Hain,

Lamhon K Pair Par Par Hain Kuch Phool Dard-o-Gham K,

Jeevan Mein Ab Khushi K Mosam Nahi Rahe Hain,

Too Aur Simat Mein Hai Main Aur Simat Mein Hon,

Ulfat K Raste Ab Ba Hum Nahi Rahe Hain,

Fikar-e-Moaash Ne To Jazbon Ko Roond Dala,

Aashiq Wagrna Hum Bhi Kuch Kam Nahi Rahe Hain,

Rahon Mein Ab Khara Hon Philay Hath Khali,

Gham They Mera Asasa Aur Gham Nahi Rahe Hain,

Tum Hi They Meri Dunia Tum Hi Meri Mohabbat,

Tum Jo Nahi To Dono Aalam Nahi Rahe Hain............!

 

Book

Mere Ho K Raho 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai