Sab Chale Jao Mujh Mein Ab Taab Nahi

 

Poet Joun Eliya 

 

Sab Chale Jao Mujh Mein Ab Taab Nahi,

Naam Ko Bhi Ab Iztiraab Nahi,

Khoon Kar Don Tere Shabaab Ka Main,

Mujh Sa Qatil Tera Shabab Nahi,

Ek Kitab-E-Wajood Hai To Sahi,

Shayad Is Mein Dua Ka Baab Nahi,

Too Jo Parhta Hai 'Boo Ali' Ki Kitab,

Kia Ye Aalam Koi Kitab Nahi,

Apni Manzil Mein Koi Faryad Nahi,

Rakhsh Apna Bad'Rakab Nahi,

Hum Kitabi Sada K Hain Laikin,

Hasb-E-Mansha Koi Kitab Nahi,

Bhool Jana Gunah Nahi Usay,

Yad Karna Usay Sawab Nahi,

Parh Lia Us Ki Yad Ka Nuskha,

Us Mein Shohrat Ka Koi Baab Nahi.......................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo