Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhte Hain

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Suna Hai Log Use Aankh Bhar K Dekhte Hain,

So Us K Shehr Mein Kuch Din Thehr K Dekhte Hain,

Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Haalon Se,

So Apne Ap Ko Barbaad Kar K Dekhte Hain,

Suna Hai Dard Ki Gahek Hai Chashm-e-Naaz Us ki,

So Hum Bhi Us ki Gali Se Guzar K Dekhte Hain,

Suna Hai Us ko Bhi Hai Shairo Shaairi Se Shughf,

So Hum Bhi Muajze Apne Hunar K Dekhte Hain,

Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jharte Hain,

Ye Bat Hai To Chalo Bat Kar K Dekhte Hain,

Suna Hai Rat Usay Chand Takta Rehta Hai,

Sitare Baam-e-Falak Se Utar K Dekhte Hain,

Suna Hai Din Ko Titlian Usay Satati Hain,

Suna Hai Rat Ko Jugno Thehr K Dekhte Hain,

Suna Hai Hashar Hain Us ki Ghazal Si Aankhain,

Suna Hai Us ko Hairan Dashat Bhar K Dekhte Hain,

Suna Hai Rat Se Barh Kar Hai Kaklian Us Ki,

Suna Hai Sham Ko Saye Guzar K Dekhte Hain,

Suna Hai Us Ki Seh Chashmgi Qayamat Hai,

So Us ko Surma Farosh Aah Bhar K Dekhte Hain,

Suna Hai Us K Labon Se Gulab Jalte Hain,

So Hum Bahar Pe Ilzam Dhar K Dekhte Hain,

Suna Hai Aina Tamsal Hai Jabeen Us ki,

Jo Sada Dil Hain Usay Ban Sanvar K Dekhte Hain,

Suna Hai Jab Se Hamail Hain Us ki Gardan Mein,

Mizaj Aur Hi Laal-o-Gohar K Dekhte Hain,

Suna Hai Chashm-e- Tassavur Se Dasht-e-Imkan Mein,

Palang Zaviye Us ki Kamar K Dekhte Hain,

Suna Hai Us K Badan Ki Tarash Aisi Hai,

Ke Phool Apni Qubain Kutar K Dekhte Hain,

Wo Sarou Qad Hai Magar Begul-e-Murad Nahi,

Ke Us Shajar Pe Shagoofe Samar K Dekhte Hain,

Bs Ek Nigah Se Lutta Hai Qafla Dil Ka,

So Rehrvan-e-Tamanna Bhi Dar K Dekhte Hain,

Suna Hai Us K Shabstan Se Mutissal Hai Bahishat,

Makeen Udhar K Bhi Jalwe Idhar K Dekhte Hain,

Ruke To Gardshain Us ka Tawaf Karti Hain,

Chale To Us ko Zamane Thehar K Dekhte Hain

Kise Naseeb Ke Bepairahan Usay Daikhe,

Kabhi Kabhi Dar-o-Deewar Ghar K Dekhte Hain,

Kahanian Hi Sehi Sab Mubalghe Hi Sehi,

Agar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhte Hain,

Ab Us K Shehr Mein Thehrain K Kooch Kar Jain?

FARAZ Aao Satare Safar K Dekhte Hain.............................! 

 

1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo