Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain

 

Poet Saghar Sadiqui 

 

Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain,

Sataron Se Shikayat Kar Rahe Hain,

Na De Tuhmat Humain Madhoshion Ki,

Zara Pee Kar Ibadat Kar Rahe Hain,

Janoon K Tajarbon Ki Neghedari,

Be Andaz-E-Farasat Kar Rahe Hain,

Sehar K Baad Bhi Shamain Jalao,

K Tere Parwane Shrarat Kar Rahe Hain,

Tere Shano Pe Tabina Nishate,

Baharon Ki Sakhawat Kar Rahe Hain,

Khuda Wandan-E-Gulshan Ye Shagoofe,

Baharon Se Baghawat Kar Rahe Hain,

Martab Gham K Afsanon Se Saghar,

Musarat Ki Haqayat Kar Rahe Hain...................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai