Cherain Gay Wohi Qisa-E-Gham Aur Tarha Se

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Cherain Gay Wohi Qisa-E-Gham Aur Tarha Se,

Lain Gay Tujhe Rah Pe Hum Aur Tarha Se,

Sajde Mein Jabeen Seene Mein Pandar Khudai,!

Ab Aaye Hain Kabe Mein Sanam Aur Tarha Se,

Hota Hai Gumaan Un Pe Kisi Dast-E-Talb Ka,

Ab Khole Hain Yaron Ne Alam Aur Tarha Se,

Hai Kaam Musawaat-E-Muhammad Ko Mitana,

Karta Hai Arab Aur Ajam Aur Tarha Se,

Hum Sochte Rehte Hain Atta Aur Tarha Ki,

Deta Hai Tera Dast-E-Karam Aur Tarha,

Marte To Shaheedan-E-Mohabbat Bhi Hain,

AMJID

Jate Hain Magar Sooye Adam Aur Tarha Se.......................!

Book

(Zara Phir Se Kehna) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo