Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho

 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho.

Kaisi Be-Dard K Ho Kar Dekho.

Lizat-E-Gham Bhi Ajab Nasha Hai.

Dost Ki Yaad Mein Ro Kar Dekho.

Zindagi Silsila Khawab-E-Tarb.

Saya Zulf Mein So Kar Dekho.

Katni Tasqeen Hai Ehsaas Ki Maot.

Kabhi Divana To Ho Kar Dekho.

Kitna Dilkash Hai Jahan-E-Guzraan.

Dil K Aaine Ko Dho Kar Dekho.

Mah-O-Anjum Bhi Thay Aabad Kabi.

in Kharabon Se Bhi Ho Kar Dekho.

Resha Gul Mein Bhi Hai Muje Khoon.

Khar Ki Nook Chhbo Kar Dekho.

Aoos Ki Bund Bhi Hai Sheesh-Nagar.

Aankh Ashkon Se Bhego Kar Dekho,

Zaray Zaray Mein Hai Aabad Jahaan.

Khud Ko Har Shay Mein Samo Kar Dekho.

Shab K Sanaton Mein Wo Baat Kahan.

Din K Hangamo Mein Khoo Kar Dekho.

Tum Bagolon K Khudawand Sahi.

Aatish-E-Gul To Faro Kar Dekho.

Jo Diye Le K Nikalte Hain FARAZ.

Wo Bhi Kha Jate Hain Thokar Dekho.........! 

 

Book:

Tanha Tanha

Page No: 91 to 92

Ghazal No: 50 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo