Hai Sang-E-Khamoshi Pe Fiza Sar Dhare Howe

 

Poet: Muzafar Warsi

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Hai Sang-E-Khamoshi Pe Fiza Sar Dhare Howe.

Aabad Ghar Bhi Ghar Na Howe Maqbare Howe.

Har Shakhs Hai Hanoot Shuda Lash Ki Tarha.

Aankhon Mein Terte Hain Manazar Mare Howe.

Pheli Hai Yuon To Shehr Mein Har Samt Roshni.

Pherte Hain Log Saye Se Apne Dare Howe.

Talwaar Kia Kaisi Pe Uthaye Ga Wo Jari.

Hain Jais K Dono Hath Dua Se Bhare Howe.

is Door-E-Khod Fareeb Se Hon Khoob Aashna.

Mujh Se Mere Khilaf Yahan Mashware Howe.

Jee Bhar K Khak Bhi Na MUZAFAR Urra Saka.

Tapka Laho Jo Zakham Se Jangal Hare Howe.....!

 

Bk: Baraf Ki Nao

Page: 77

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha