Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Is Ada Se Kabhi Aa Kar Guzro.
Dil K Sehra Ko Basa Kar Guzro.
Sang-E-Khara Hai Zamane Ki Nazar.
Dil K Aaine Bacha Kar Guzro
Roshni Rehbar-E-Rahazan Bhi To Hai.
Rahiyo Shamain Buja Kar Guzro.
Kon Jane K Ye Pathar Hain K Log.
Dasht-E-Gurbat Mein Sada Kar Guzro.
Koi Kanta Ho K Shabnam Ho K Phol.
Sub Ko Aankhon Se Laga Kar Guzro
Safr-E-Shoq Ho Ya Manzil-E-Gham.
Koi Hangama Utha Kar Guzro.
Charrtd Suraj K Pujari Na Bano.
Apne Saye Mein Sama Kar Guzro.
Waqt Ne Sath Dia Hai Kais Ka.
Ji Mein Jo Aaye Sada Kar Guzro.
Phele Divano Ki Rasmain Thien Yehi.
Khon Kanton Ko Pilla Kar Guzro.
Aik Pal Thhero Bagoloon Ki Tarha.
Aur Pher Khak Urra Kar Guzro.
Ya To Mujon K Shanasa Na Bano.
Ya Kinaron Ko Baha Kar Guzro.
Dil Ajeeb Shehr Hai Hangamon Ka.
Kabhi is Samat Bhi Aa Guzro
Too San-E-Waqt Ki Raftaar K Sath.
Barq K Pankh Laga Kar Guzro.
Fikaro idraak K Daroon Mein FARAZ.
Mishal-E-Tabh Jala Kar Guzro.......!
Book: Tanha Tanha
Page No: 88 to 89
Ghazal No: 49
wah bahut khoob
ReplyDelete