Is Bar Wo Mila To Ajab Us Ka Rang Tha

 

Poet Hamayat Ali Shayar 

 

Is Bar Wo Mila To Ajab Us Ka Rang Tha,

Alfaz Mein Tarang Na Lehja Dabang Tha,

Ek Soch Thi K Bikhri Hoi Khaal-O-Khat Mein Thi,

Ek Dard Tha K Jis Ka Shaheed Ang Ang Tha,

Ek Aag Thi K Raakh Mein Posheeda Thi Kein,

Ek Jisam Tha K Rooh Se Masroof-E-Jang Tha,

Main Ne Kaha K Yar Tujhe Kia Howa Hai Ye,

Us Ne Kaha K Umar-E-Rawaan Ki Atta Hai Ye,

Main Ne Kaha K Umar-E-Ravaan To Sabhi Ki Hai,

Us Ne Kaha K Fikar-O-Nazar Ki Saza Hai Ye,

Main Kaha K Sochta Rehta To Main Bhi Hon,

Us Ne Kaha K Aaina Rakha Howa Hai Ye,

Dekha To Mera Apna Hi Aks-E-Jalii Tha Wo,

Wo Shakhs Main Tha Aur Hamayat Ali Tha Wo..................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo