Jaam Aisa Teri Aankhon Se Aataa Ho Jaye

 

=============

KASHISH-E-JAAM

=============

Poet Nuzhat Hussain

Jaam Aisa Teri Aankhon Se Aataa Ho Jaye,

Hosh Maojood Rahe Aur Nasha Ho Jaye,

Is Tarah Meri Taraf Mera Maseeha Dekhe,

Dard Dil Hi Mein Rahe Aur Dawa Ho Jaye,

Zindagani Ko Mile Koi Hunar Aisa Bhi,

Sab Mein Maojood Bhi Ho Aur Fana Ho Jaye,

Mojza Kaash Dekha Dein Ye Nigahain Meri,

Lafz Mahfooz Rahein Bat Adaa Ho Jaye,

Is Tarah Jurm K Ehsas Ko Bedaar Karo,

Jism Aazad Rahe Aur Saza Ho Jaye,

Us Ko Main Dekhon To Is Tarha Se Dekhon,

NUZHAT

Sharm Aankhon Mein Rahe Aur Khata Ho Jaye................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha