Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya

 

=====================

MAYEKHANE KO HOSH

=====================

Poet Anwar Farukhabadi

Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya,

Angrai Li Botal Ne Paimane Ko Hosh Aaya,

Utha Jo Naqab Un ka Deewane Ko Hosh Aaya,

Jab Shamma Hoi Roshan Rarwane Ko Hosh Aaya,

Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya,

Phir Dard Utha Dil Mein Phir Yad Teri Aai,

Phir Teri Mohabbat K Afsane Ko Hosh Aaya,

Jab Rat Dhali Aadhi Maikhane Ko Hosh Aaya,

In Mast Nigahon Ne Girte Ko Sambhala Hai,

Sagar K Sahare Se Mastane Ko Hosh Aaya,

Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya,

Wo Dekho Fana Dekho Jam Aa Gaye Gardish Mein,

Wo Mast Nazar Uthi Maikhane Ko Hosh Aaya,

Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya,

Angrai Li Botal Ne Paimane Ko Hosh Aaya...............!

 

1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo