Main To Sholon Ka Pujari Hon Mere Pas Na Aa

 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Main To Sholon Ka Pujari Hon Mere Pas Na Aa.

Apne Daman Muhabbat K Hasen Phol Liye.

in Dil-Aaweez Baharoon Se Mujhe Rabt Nahi.

Jab Koi Taza Kalli Nighat-O-Rangat Ki Palli.

Shabnami Husan K Simeen Labaday Urrhe.

Mast Palkon Pe Liye Subh-E-Jawani Ki Pholwaar.

Mere Tapte Howe Mahol Mein Dar Aati Hai.

To Mere Sard iradon Se Dhovan Uthta Hai.

Meri Aankhon Mein Allaoo Se Dehek Jate Hain.

Aur is Aatish-O-Zulmat K Ghane Laway Mein.

Muskurati Hoi Shadab Kalli Ki Sansain.

Chand Hi Lamhon Mein Ruk Jati Hain Phhak Jati Hain.

Too K Too Bhi Hai Kaisi Zauq-E-Namu Se Sarshar.

Mast Palkon Pe Liye Subh-E-Jawani Ki Pholwaar.

Aik Anjaan Si Manzil Ko Brrhe Aati Hai.

Dekh is Sholoon Ki Basti Ko Zara Ghoor Se Dekh.

Har Qadam Par Jahan Angare Hi Angare Hain.

Too Yahan Reh K Kabhi Phool Nahi Ban Sakti.

Laaot Ja Paishtar is K Tere Hantoon Mein.

Ahmreen Rass Ki Jaga Tund Sharr Ghol Jaain.

in Mehkte Howe Rukhsaron K Zar-Khaiz Kanwal.

Aag K Halqa Be Baak Mein Jholas Jaain.

Mein To Sholoon Ka Pujari Hoon Mere Paas Na Aa........!

Book: Tanha Tanha

Page: 116 to 117

Ghazal: 65 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo