Mera Asal Aseel Udas Piya

 

 

======

PIYA

======

 

Mera Asal Aseel Udas Piya,

Dil Jani Ramz Shanas Piya,

Kabhi Aa Mil Tanha Logon Se,

Mera Khason Mein Bhi Khas Piya,

Teri Deed Ziarat Aankhon Ki,

Teri Doori Dard Shanas Piya,

Tera Lams Hawa Ki Siski Mein,

Teri Phoolon Mein Bhi Baas Piya,

Main Matti Barish Ki Tarsi Hoi,

Too Ek Badli Sawan Si,

Kabhi Baras Mere Bhi Daman Par,

Mera Jal Jaye Banwas Piya,

Bas Tere Din Hain Gardish Mein,

Meri Soch, Bichaar Qayas Piya....................!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai