Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Mulokiyat K Mehal Ki Gunahgaar Kaneez.
Wo Juram Kia Tha K Tujh Ko Saza-E-Marg Meli.
Wo Raaz Kia Tha K Tazeer-E-Narva K Khilaf.
Teri Nigah Na Bhhrrki Teri Zubaan Na Heli.
Wo Konsa Tha Gunah-E-Azeem K Jais K Subbab.
Har Aik Jabr Ko Too Seh Gai Bateeb-E-Dili.
Yehi Suna Hai Bas Atna Qasoor Tha Tera.
K Too Ne Qasr K Kuch Talkh Bhaid Jane Thay.
Teri Nazar Ne Wo Khaloot-Kadon K Dagh Gine.
Jo Khawajgi Ko Zar-O-Seem Mein Chopate Thay.
Tujhe Ye ilam Nahi Tha K is Khata Ki Saza.
Hazaar Toq-O-Salasil Thay Taziyane Thay,
Ye Rasm Tazah Nahi Hai Agr Teri Lagzish.
Mezaj-E-Qasr-Nishaan Ko Nagwar Hoi.
Humaish Unche Mehlat K Bharam K Liye.
Har Aik Door Mein Tazeen-E-Toq-O-Daar Hoi.
Kabhi Chuni Gai Divaar Mein Anaar-Kali.
Kabhi Shakantala Pathrao Ka Shekar Hoi.
Magr Ye Takht Ye Sultaan Begmaat Ye Qasr.
Murkheen Ki Nazron Mein Begunah Rahe.
Bagheen-E-Waqt Agr Koi Raz Khol Bhi Gia.
Zamane Wale Taraf-Daar-E-Kaj Kalah Rahe.
Sitam K Aag Mein Jalte Rahe Awaam Magr.
Jahaan Panah Humaisha Jahaan Panah Rahe.....!
Bk: Tanha Tanha
Page: 38 to 39
Ghazal No: 16
Note:
Wo Kamsin Kaneez Jaise Begam Joona Garrh Ne Qatal Karwaia.
Comments
Post a Comment