Safar Mein Dhoop To Ho Gi Jo Chal Sako To Chalo

 

 

Poetess Nida Fazli 

 

Safar Mein Dhoop To Ho Gi Jo Chal Sako To Chalo,

Sabhi Hain Bheer Mein Tum Bhi Nikal Sako To Chalo,

Idhar Udhar Kai Manzil Hain Chal Sako To Chalo,

Bane Banaye Hain Sanche Jo Dhal Sako To Chalo,

Kisi K Wasate Rahain Kahan Badalati Hain,

Tum Apane Aap Ko Khud Hi Badal Sako To Chalo,

Yahan Kisi Ko Koi Rasta Nahi Deta,

Mujhe Gira K Agar Tum Sambhal Sako To Chalo,

Yehi Hai Zindagi Kuch Khaak Chand Ummeedain,

Inhi Khilono Se Tum Bhi Behal Sako To Chalo,

Har Ek Safar Ko Hai Mehafoos Raston Ki Talash,

Hifazaton Ki Rawayat Badal Sako To Chalo,

Kahein Nahi Koi Soraj Dhowaan Dhowaan Hai Fiza,

Khud Apane Aap Se Bahir Nikal Sako To Chalo............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo