Shairi Sach Bolti Hai


 

 

===============

Shairi Sach Bolti Hai

===============

Lakh Pardon Mein Rahon

Bheid Mere Kholti Hai,

Shairi Sach Bolti Hai

Mein Ne Dekha Hai K Jab

Meri Zaban Dolti Hai,

Shairi Sach Bolti Hai

Tera Israr K Chahat Meri Betab Na Ho,

Waqif Is Gham Se Mera Halqa-E-Ahbab Na Ho,

Too Mjhe Zabt K Sahraon Mein Kion Rolti Hai,

Shairi Sach Bolti Hai

Ye Bhi Kia Bat K Chup Chup K Tujhe Pyar Karon,

Gar Koi Pooch Hi Baithe To Main Inkar Karoon,

Jab Kisi Bat Ko Dunia Ki Nazar Tolti Hai,

Shairi Such Bolti Hai

Main Ne Is Fikr Mein Kaati Kai Ratain Kai Din,

Mere Sheron Mein Tera Naam Na Aaye Lekin,

Jab Teri Sans Meri Saans Mein Ras Gholti Hai,

Shairi Such Bolti Hai

Tere Jalwon Ka Hai Parto Meri Ek Ek Ghzal,

Too Mere Jism Ka Saya Hai To Katra K Na Chal,

Parda Dari To Khud Apna Hi Bharam Kholti Hai,

Shairi Such Bolti Hai..........!

 

 

Comments

  1. wow nice hai kashif
    such kaha hy shairy such bolti hai

    ReplyDelete
  2. shairy jab dil say nikley tab such bolti hay

    ReplyDelete
  3. Will you please let me know the name of the poet ?
    I mean is poetry ke poet ka naam plz batao kisiko malum ho to

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai