Sham Ki Maskan Mein Weeran Maye Kadde Ka Dar Khula

 

Poet Muneer Niazi

 

Sham Ki Maskan Mein Weeran Maye Kadde Ka Dar Khula,

Bab Guzri Sohbaton Ka Khawab K Andar Khula,

Kuch Na Tha Juz Khawab-E-Wehshat Wo Wafa Us Ahad Ki,

Raz Itni Deir Ka Us Umar Mein Aa Kar Khula,

Jagmaga Utha Andhere Mein Aahat Se Wo,

Ye Ajab Us But Ka Meri Aankh Par Johar Khula,

Bun Mein Sargoshi Hoi Aasar-E-Abar-O-Baad Se,

Band-E-Gham Se Jaise Ek Ashjar Ka Lashkar Khula,

Sabza-E-Nao Rasta Ki Khusbo Thi Sahil Par,

MUNEER

Badlon Ka Rang Chatri Ki Tarha Sar Par Khula..............................!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai