Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Tere Hote Howe Mefil Mein Jalate Hain Charagh.
Log Kia Sada Hain Suraj Ko Dekhate Hain Charagh.
Apni Mehromi K Ehsaas Se Sharminda Hain.
Khud Nahi Rakhte To Auron K Bujate Hain Charagh.
Bastiyan Door Hoi Jati Hain Rafta Rafta.
Dam Ba Dam Aankhon Se Chopte Chale Jate Hain Charagh.
Kia Khabar Un Ko K Daman Bhi Bharak Uthte Hain.
Jo Zamane Ki Hawaon Se Bachte Hain Charag.
Go Seesa Bakhat Hain Hum Log Par Roshan Hai Zameer.
Khud Andheron Mein Hain Dunia Ko Dekhate Hain Charag.
Bastiyan Chand Sitaron Ki Basane Walo.
Kuraharz Pe Bujte Chale Jate Hain Charag
Ayse Be Dard Howe Hum Bhi K Ab Gulshan Par.
Barq Girti Hai To Zandaan Mein Jalate Hain Charag.
Aysi Tareekiyan Aankhon Mein Basi Hain K FARAZ.
Rat To Rat Hai Hum Din Ko Jalate Hain Charag.......!
Bk:
Tanha Tanha
Page: 114 to 115
Ghazal: 64
Comments
Post a Comment