Kion Aise Sapne Dekhte Ho Insha Jee Tum Aap Bhi Sapna Ho



Poet Ibn-E-Insha  
Kion Aise Sapne Dekhte Ho,
Insha Jee Tum Aap Bhi Sapna Ho,
Ek Beetein Likhte Shair Ho,
Ek Geet Ugalti Beena Ho,
Ye Batehn Mann Mein Wo Soche,
Jo Kia Batlain Kaisa Ho?
Wo Jis K Hath Mein Qismat Ki,
Ek Lambi Gehri Raikha Ho,
Wo Shakhs Purane Qison Ka,
Ek Mud Mata Shehzada Ho,
Jo Shehr Ka Rasta Bhoola Ho,
Aur Jangal Mein Aa Nikla Ho,
Wo Raja Kaashi Nigri Ka,
Ya Walai Balgh-O-Bukhara Ho,
Kuch Us K Taaj Pe Kalghi Ho,
Kuch Us Ka Chand Sa Chehra Ho,
Wo Malik Mahal Utarion Ka,
Ya Roopay Sone Wala Ho,
Ya Koi Anokha Gun Wala,
Wo Jis Ka Jag Mein Charcha Ho,
Ya Koi Sajeela Banjara,
Jo Nagri Nagri Ghooma Ho................!
Book
Is Basti K Ek Kooche Mein

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai