Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai

 

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Suna Hai Sheir Ka Jab Pait Bhar Jaye,

To Wo Hamla Nahi Karta,

Suna Hai Jab Kisi Nadi K Pani Mein,

Bue K Ghoonsle Ka Gandami Saya,

Larazta Hai To Nadi Ki Ro Pehli Machilan,

Us Ko Parosi Maan Leti Hain Hava K,

Taiz Jhonke Jab Darakhton Ko Hilaate Hain,

To Meena Apne Ghar Ko Bhool Kar,

Kave K Andon Ko Paron Mein Thaam Leti Hai,

Suna Hai Ghonsle Se Jab Koi Bacha Gire,

To Sara Jangal Jag Jata Hai,

Nadi Mein Bar Aa Jaye Koi Pul Toot Jaye,

To Kisi Lakri K Takhte Par Gulahri,

Sanp Cheeta Aur Bakri Sath Hote Hain,

Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai,

Khuda Wanda Jaleel-o-Moatbar,

Dana-o-Beena Munsif-O-Akbar,

Humhare Shahar Mein Ab

Janglon Ka Hi,

Koi Dastoor Nafiz Kar...............! 

 

9 comments:

  1. ,:-D ehm parven shaki.r k3e E gzl nahy hax

    ReplyDelete
  2. Dear Ye parveen shakir ki hi hai.Parveen Shakir ne 1st time ye ghazal 26-06-1989 mein likhi thi aur ye un ki prsnl Diary mein thi Aur Is Diary ko AMJAD ISLAM AMJAD ne 18-08-1994 mein buhat se poets ka Intekhab kia Aur book banwai jis ka name GULDASTA Rakha page number 46 hai ap dekh sakte hain. Mazeed Info k liye mere EMAIL pe cntct kr sakte hen. hijarking@yahoo/com

    ReplyDelete
  3. ye book merey pas hay ye really ghazal page 46 to 47 tak hai kashif apk zouq ko daad deti hun k ap ne complete profe dy dia hai mery pas ab b ye book hay amjid islam amjid ka intakhab hy

    ReplyDelete
  4. Thanks FARZANA KHAN G
    Meri koshish hoti hy keh jo bhi poetry upload karon tw poet ka naam b show karon. agr pata na chale tw poet not confrm lekh deta ho
    again THANKS FARZANA G

    ReplyDelete
  5. dear sadia if you dont mind plz this ghazal is confrmd by parveen shakir and collected by Amjid Islam Amjid.
    Book Name GULDASTA

    1-Book Add
    Maktaba Shairia shop no 367 Frid gate bahawalpur.

    2-Book Add
    Maktaba Sadiuqe Buplisher town ship Lahor.
    Ye book mere pas bhi hai.

    ReplyDelete
  6. yahan mere Qabil bhai ney bat 100% right ki hay aur itne proof k sath detail btai hay mere khayal se ab clear ho gaya hoga

    ReplyDelete
  7. Anwaar shah je ny ri8 kaha hy ye gzl prven shakir ki hi hy.
    Sadia sahiba jesy bay zoq log jo k shaairy ki ailf bay b ni janty wo khamkha en kamon me apni tang arrana apna eham freeza smajty hen.

    ReplyDelete
  8. Thanks
    SHANZA KHAN & YASIR AFTAB BHAI

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo