Wo Roth Kar Aisa Gia K Eid Par Nahi Aaya

Poet: Ayaz Khan


Type By

*.__Ayaz Khan__.*


Wo Roth Kar Aysa Gia K Eid Par Nahi Aaya.


Mein Muntazir Raha Par Wo Ghar Nahi Aaya.


Ek Hasrat Thi Meri Aankhon Mein Us K Deed Ki.


Wo To Khawab Tha Pher Kahen Nazar Nahi Aaya.


Us Ki Rafaqat Mein Ek Muddat Guzari Hum Ne.


Zindagi Tamam Hoi Pher Aysa Humsafar Nahi Aaya.


Har Eid Par Us Ne Mujhe Surkh Gulab Diye.


Wo Bicharra To Pher Aysa Manzar Nahi Aaya.


AYAZ Mein Ne Roka To Bahut Us Jaan-E-Azeez Ko.


Par Dilon Mein Utarne Ka Tujhe Hunar Nahi Aaya...!


Mazeed Eid Poetry Follow Khan61 Send 8001.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai