Ambar Ne Dharti Par Pheinki Noor Ki Cheint Udas Udas, Aaj Ki Shab To Andhi Shab Thi Aaj Kidhar Se Nikla Chand,



Poet Ibn-E-Insha
Ambar Ne Dharti Par Pheinki Noor Ki Cheint Udas Udas,
Aaj Ki Shab To Andhi Shab Thi Aaj Kidhar Se Nikla Chand,
INSHA JEE Ye Aur Nagar Hai Is Basti Ki Reet Yehi,
Sab K Apni Apni Aankhein Sab Ka Apna Apna Chand,
Apne Seene K Matla Par Jo Chamka Wo Chand Howa,
Jis Ne Mann K Andhiare Mein Aan Kia Ojpara Chand,
Chakhchal Muskati Muskati Goori Ka Mukhra Mehtab,
Pat Jhar K Peiron Mein Atka Peela Sa Ek Patta Chand,
Dukh Ka Daria Sukh Ka Sagar Us K Dam Se Dekh Liye,
Hum Ko Apne Sath Hi Le Kar Dooba Chand Aur Ubhra Chand...........!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha