Eid Ki Subha Ko Mere Fone Ne Baj Kar

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Eid Ki Subha Ko Mere Fone Ne Baj Kar,


Mujhy Apny Hony Ka Ahsaas Dilaya,


Fone Uthaya To,


Aik Bhooli Huyi,


Aawaz Kaan Ny Suni,


Sirf Aik Jumla Aik Lafaz,


Dil Py Sabbt Ho Kar Reh Gaya,


SUNO AAJ EID HY NA ?


Aur Aaj Qurbani Ka Din Hy Na ?


Mujhy Tum Sy Kuch Mangna Hy,


Bolo Do Gy Mujhy Tum ?


Kahaa Main Ny,


Agar Jaan Mango To,


Tum Py Qurban Kar Doun,


Kahaa Us Ny Mujh Sy,


SUN JAAN NAHEIN,


Tum Lot Aao Na Kyoun K,


Aaj Eid Hy Na,?


Mujhy Ye Eid RAAHI Sang Tairy Karni Hy,


SUNO LOT AAO NA,


SUNO LOT AAO NA.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai