Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka? Insha Jee Kion Dehan Aaya Kisi Ka,



Poet Ibn-E-Insha
Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka?
Insha Jee Kion Dehan Aaya Kisi Ka,
Seene Mein Yadon Ki Jawala Si Bharki,
Aankhon K Aage Hai Chehra Kisi Ka,
Kis Ka Gham Hai?
Tum Log Jano To Jano,
Hum Se Na Pocho Ho Ga Kisi Ka,
Batein Karein Log Kis Moorti Ki,?
Shardha Ka Mandar Toota Kisi Ka,
Pardeis Ja Kar Pocha Kisi Ne?
Haal Aa K Wapas Dekha Kisi Ka?
Seene Pe Charke Bairi Bira K,
Aankhon Mein Behta Daria Kisi Ka,
Sorat Moonhar Batein Raseeli,
Aage Tha Dhoka Hi Dhoka Kisi Ka,
Hum Ajnabi Hain Hum Se Na Milna,
Apna Bana Kar Kehna Kisi Ka................!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai