Is Basti K Ek Kooche Mein Ek Insha Naam Ka Dewana,



Poet Ibn-E-Insha
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Ka Dewana,

Ek Naar Pe Jan Ko Haar Gia,
Mash Hoor Hai Us Ka Afsana,
Us Naar Mein Aisa Roop Na Tha,
Jis Roop Se Din Ki Dhoop Dabe,
Is Shehr Mein Kia Kia Goori Hai,
Mehtab Rukhe Gul Naar Labe,
Kuch Bat Thi Us Ki Baton Mein,
Kuch Bhaid Thay Us Ki Chatoon Mein,
Wohi Bhaid K Jot Jagate Hain,
Kisi Chahne Wale K Mann Mein,
Usay Apna Banane Ki Dhun Mein,
Howa Aap Hi Aap Se Begana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Na Chakchal Khail Jawani K,
Na Pyar Ki Alhar Ghatein Thein,
Bas Raah Mein Un Ka Milna Tha,
Ya Fone Pe Un Ki Batein,
Is Ishq Pe Hum Hanste Thay,
Be Hasil Sa Be Hasil Tha?
Ek Roz Bephirte Sagar Mein,
Na Kashti Thi Na Sahil Tha,
Jo Bat Thi In K Jee Mein Thi,
Jo Bhaid Tha Yaksar Anjana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Deewana Tha,

Ek Roz Magar Bar Kharut Mein,
Wo Bhadon Thi Ya Sawan Tha,
Deewar Pe Beech Samandar K,
Ye Dekhne Walon Ne Dekha,
Mastana Hath Mein Hath Diye,
Ye Aik Kagar Par Baithe Thay,
Kia Rat Thi Wo Jee Chahta Hai,
Us Rat Pe Likhain Afsana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Haan Umar Ka Sath Nibhane K Thay,
Ehad Bahut Paiman Bahut,
Wo Jin Pe Bharosa Karne Mein,
Kuch Sood Nahi Nuqsan Bahut,
Wo Naria Keh Kar Door Hoi,
Majboori Sajan Majboori,
Ye Wehshat Se Ranjoor Howe,
Aur Ranjoor Si Ranjoori?
Us Roz Humain Maloom Howa,
Us Shakhs Ka Mushkil Samjhana,
Is Basti K Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Go Aag Se Chati Jalti Thi,
Go Aankh Se Daria Behta Tha,
Har Aik Se Dukh Nahi Kehta Tha,
Chup Rehta Tha Gham Sehta Tha,
Na Daan Hain Wo Jo Cherte Hain,
Is Aalam Mein Na Daano Ko,
Is Shakhs Se Aik Jawab Mila,
Sab Apno Ko Begano Ko,
Kuch Aur Kaho To Sunta Hon,
Us Baab Mein Kuch Mat Farmana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Ab Aage Tehqeeq Nahi,
Go Sunte Ko Hum Sunte Thay,
Us Naar Ki Jo Batein Thein,
Us Naar K Jo Qisse Thay,
Ek Sham Jo Us Ko Bulwaya,
Kuch Samjhaya Bechare Ne,
Us Rat Ye Qissa Pak Kia,
Kuch Kha Hi Lia Dukhiare Ne,
Kia Bat Hoi Kis Tor Ho?
Akhbar Se Logon Ne Jana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek INSHA Naam Ka Tha Deewana,

Har Bat Ki Khoj To Theek Nahi,
Tum Hum Ko Kahani Kehne Do,
Us Naar Ka Naam Maqam Hai Kia,
Is Bat Pe Parda Rehne Do,
Hum Se Bhi To Soda Mumkin Hai,
Tum Se Bhi Jafa Ho Sakti Hai,
Ye Apna Bayaan Ho Sakta Hai,
Ye Apni Khata Ho Sakti Hai,
Wo Naar Bhi Aakhir Pachtai,
Kis Kaam Ka Aisa Pachtana?
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Ka Tha Deewana.......!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha