Is Sham Wo Rukhsat Ka Samaan Yad Rahe Ga, Wo Shehr Wo Koocha Wo Makaan Yad Rahe Ga,



Poet Ibn-E-Insha
Is Sham Wo Rukhsat Ka Samaan Yad Rahe Ga,
Wo Shehr Wo Koocha Wo Makaan Yad Rahe Ga,
Wo Tais K Ubhri Thi Idhar Yad Rahe Gi,
Wo Dard K Utha Tha Yahan Yad Rahe Ga,
Hum Shoq K Shole Ki Lapak Bhool Bhi Jain,
Wo Shamma Fasurda Ka Dhowan Yad Rahe Ga,
Han Bazm-E-Shabana Mein Hama Shoq Jo Us Din,
Hum Thay Teri Janib Nigraan Yad Rahe Ga,
Kuch Meer K Abiat Thay Kuch Faiz K Misre,
Ek Dard Ka Tha Jin Mein Bayan Yad Rahe Ga,
Aankhon Mein Sulagti Hoi Wehshat K Jalo Mein,
Wo Hairat-O-Hasrat Ka Jahan Yad Rahe Ga,
Jaan Bakhsh Si Us Barg Gul Tar Ki Tarawat,
Wo Lams Azeez-E-Do Jahan Yad Rahe Ga,
Hum Bhool Sake Hain Na Tujhe Bhool Sakein Gay,
Too Yad Rahe Ga Humain Han Yad Rahe Ga................!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo