Jaam Pee Kar Jo Door Tak Dekha Chashm-E-Hasti

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jaam Pee Kar Jo Door Tak Dekha.

Chashm-E-Hasti Ne Toor Tak Dekha.

Ye Sharf Aaine Ko Hasil Hai.

Aaine Ne Hazoor Tak Dekha.

Chasham-E-Diwana Waar Jais Ko Mili.

Is Ne Had-E-Shaoor Tak Dekha.

Un Ki Zulfon Ka Rang Paya Hai.

Jab Bhi Takhleeq-E-Noor Tak Dekha.

Ajaz Ki Roshni Mein Aye SAGHAR.

Hum Ne Baam-E-Gharoor Tak Dekha......!

 

Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 144


Ghazal: 72

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo